Page 259 - Quran-e-Kareem
P. 259
th
7 Sureh al-araf (259) 9th para
Unko raato raat aale aur wo sotay k sotay rahein 7:97(toye) ya gaaon waale
isse mutmayeen hogaye hai k hamaara azaab unko din dahaare aale aur wo
khel kuud hee mea ho 7:98 kia wo khuda k badla lene se mutmayeen
hogaye hain (1)(jeem) halaanke khuda k azaab se siwaaye nuqsaan uthaane
waaloun k koi mutmayeen nahi hua karta 7:99(12AIN6-2) kia usne unn
logoun ko jo pehle maalikoun k baad zameen k waaris huye hai amr ki
hidaayat nahi ki hai k agar hum chaahein to unke gunaahoun k badle mea
unnper museebat naazil kardein (jeem) aur unke diloun per aisee mohar
lagaadein k wo naa (kuch) sunein (na samjhey) 7:100 wo bastiyaan jinki
baaz khabarein hum tumse bayaan kiya karte hai yahee hai (jeem) aur
unke payghamber unke paas daleelayn lekar yaqeenan aaye they pass jinko
wo pehle se jhutlaa chukey they (2) unnper kisi tarah imaan naa laaye issi
tarah se allah inkaar karne waaloun k diloun per chaapa lagaa diya karta
hai 7:101 aur humne unmea se bohhhot soun mea (apni) (3) baat ka paas
na paaya (jeem) aur humne unmea se bohhot soun ko naa farmaan paaya
7:102 phir humne unke baad musa ko apni nishaniyaan dekar firaoun aur
uske araakeen e daulat(4) k paas bheja

