Page 260 - Quran-e-Kareem
P. 260
th
7 Sureh al-araf (260) 9th para
Pass unhonay unn nishaaniyoun ka inkaar kardiya (jeem) ab ghour karlo k
fasaad karne waaloun ka anjaam kaisa hua 7:103 aur musa ne ye farmaya k
aye firaoun mea tamaam aalemoon k parwardigaar ki taraf se rasool hun
7:104(laa) mere liye shayaan (e shaan) hai k allah k naam lekar haq k
siwaa koi baat na kahun (toye) mea tumhaare rab k paas se daleel lekar
aaya hun pass bani israyeel ko mere saath bhejde 7:105 (firaoun ne) kaha
agar tum koi nishaani lekar aaye ho (aur) agar tum sachey bhi ho to laao
usse pesh karo 7:106 pass jab musa ne apna asaa daal diya wo yakaayak
zaahir ba zaahir azdaha bangaya 7:107(laa) aur apna haath jo nikala to wo
yakaayak tamaam dekhne waaloun k liye bohhot roshan hogaya
7:108(13AIN9-3) qoum e firaoun k sharfa (shareef log) ne kaha k zaroor ye
parha hua jaadugarr hai 7:109(laa) ye tumko tumhaare mulk se nikaaldena
chahta hai (jeem) ab tum kia mashwera dete ho 7:110 unhonay kaha k
inko aur (1) inke bhai ko (to aap) mohlat de aur shehroun mea gird aur
bhejdein 7:111(laa) k wo her parhey huye jaadugar ko huzoor mea le
aayein 7:112 aur wo jaadugar firaoun k paas aaye aur daryaaft karne lagey
k agar hum

