Page 261 - Quran-e-Kareem
P. 261
th
7 Sureh al-araf (261) 9th para
Ghaalib aagaye (to) humko kuch salah bhi mileyga ? 7:113 usne kaha haan
(milega) aur tum muqrabeen e darbaar se bhi zaroor hee hojaaogay 7:114
(jaadugar) bolay k aye musa lo ab tum daalte ho ya(1) hum khud daalne
waale baney 7:115 (musa ne) farmaya k (tum hee ) daalo (jeem) pass jab
unhonay daala to logoun ki nazar bandi kardi aur unko daraya aur bohhot
barha jaadu la moujuud (2) kiya 7:116 aur humne musa ki taraf wahi ki k
tum bhi apna asaa daaldo (jeem) pass dekhte kia hai k jo jo kuch dhakosla
(3) unhonay bana rakha tha wo asaa hai k sab ko niglay chalaa jaata hai
7:117(jeem) pass iss tarah (haq to) haq saabit hogaya aur jo amal wo kar
rahey they (wo sab) baatil hogaya 7:118(jeem) pass jaadugar waheen k
waheen maghloob aur zaleel hokar rehgaye 7:119(jeem) aur sab k sab sajde
mea girr parhey 7:120(laa) aur kehne lagey k hum aalemoon k
parwardigaar per 7:121(laa) jo musa aur haarun ka parwardigaar hai imaan
laaye 7:122 firaoun ne kaha k tum ussper qabl iske k mea ijaazat dun
imaan le aaye (jeem) zaroor ye tumhaari (4) koi chaal hai jo tum iss shaher
mea chale ho k iss shaher k baashindoun (rehne waaloun) ko yahan se
nikaaldo (jeem)

