Page 263 - Quran-e-Kareem
P. 263
th
7 Sureh al-araf (263) 9th para
Baad bhi (toye) farmaya qareeb hai k tumhaara parwardigaar tumhaare
dushmanoun ko halaak karde aur tumko zameen mea unka qaayem
muqaam karde aur phir dekhe k tum kaise amal karte ho 7:129(15AIN3-5)
aur beshak humne firaoun waaloun ko mutawaater (musalsal) kehtoun
(droughts paani ki kami) (1) ki aur phaloun ki kami ki yaqeeni sazaa dee
taa k wo ijrat pakrey 7:130 phir jab unke yahan faraaghat (behtaree) hui
to unhonay ye kehdiya k ye (furaaghi) to hamaare hee wajah se hui hai
(jeem) aur agar unko koi takleef(3) pohonchti to usko musa aur unke
saathiyoun ki khuwast bayaan karte (toye) aagah raho asbaab e nahoosatt
khuda hee k ikhteyaar mea hai lekin aksar log jaante hee nahi 7:131 aur
unhonay ye bhi kehdiya tha k jab kabhi koi aisee nishaani laao k usse
humper jaadu kardo to hum to tumper kabhi imaan laayenge nahi 7:132
pass humne unnper toufaan (bhi) bheja (4) thiddiyaan bhi bheje
chichidiyaan (khoon choosne waali makhkhee) bhi bheje mendak bhi (5)
khoon bhi ye khuli nishaaniyan theen (6) phir bhi wo akre issliye k wo log
gunehgaar hee they 7:133 aur jab unnper azaab aata to (7) kehne lagte k
aye musa

