Page 262 - Quran-e-Kareem
P. 262
th
7 Sureh al-araf (262) 9th para
To ab mazaa bhi chak logay 7:123 mea tumhaare masaabel (saamne) k
haath paaon zaroor kaatunga phir tum sab ko zaroor suuli dedunga
7:124(toye) unhonay kaha k hum to laut ker zaroor apnay parwardigaar ki
huzoori mea chale jaayenge 7:125(jeem) aur tu humse sirf itni hee see baat
per to bigardta hai k hum apnay rab ki nishaaniyoun per jiss waqt bhi wo
hamaare paas aaye imaan laaye aye hamaare parwardigaar humko bohhot
sa sabr inaayat farma aur hamaara khaatema islam per karde
7:126(14AIN18-4) aur qoum e firaoun k shurfa (shareef log) ne kaha k kia
tu musa ko aur uski khoum ko issliye chordega k wo mulk mea fasaad
phaylaaye halaanke wo tujhko aur tere maabudoun ko (1) chor chukey hai
(toye) (firaoun ne) kaha k hum ankhareeb hee unke betoun ko khatl
karenge aur unki betiyoun ko zinda chordenge (jeem) aur hum unnper
yaqeenan ghaalib rahenge 7:127 musa ne apni khoum se farmaya k tum
allah se madad maango aur sabr karo (toye) beshak ye zameen allah hee ki
hai wo apnay bandoun (2) mea se jisko chaahta hai waaris kardeta hai
(toye) halaanke anjaam parhezgaaroun ka hee behtar hai 7:128 (bani
israyeel) bolay k (aye musa) humne to tumhaare aane se pehle bhi izaa
paayi aur tumhaare aane k

