Page 264 - Quran-e-Kareem
P. 264
th
7 Sureh al-araf (264) 9th para
Hamaare waaste apnay parwardigaar se ba moujuub uss ahad k jo usne
tumse kiya hai dua karo (jeem) agar tumne ye azaab humse duur kardiya
to zaroor hum tumper imaan bhi le aayenge aur bani israyeel ko bhi
tumhaare saath zaroor hee bhejdenge 7:134(jeem) phir jab unse azaab ko
ek muddat tak k liye hataa lete to wo uss muddat k poora honay se pehle
pehle phir bad ahadee karte 7:135 aakhir humne unse badla leliya aur iss
baat k aywaazz mea k wo hamaari aayatoun ko jhutlaya karte they unko
samandar mea dubo diya halaan k wo iss aywaazz lene (k khayaal ) se
ghaafil they 7:136 aur humne uss khoum ko jo zayeef kardi gayi thi uss
zameen k iss siray se uss sirey tak ka maalik banadiya jismea unko barkat
bhi dee (toye) aur bani israyeel k haq mea bawajah unke sabr k tumhaare
rab ka acha (aur sacha) waada poora hogaya (pesh )(laa) (toye) aur firaoun
aur uski khoum jo kuch banaaya aur buland kiya karte they wo sab kuch
humne barbaad kardiya 7:137 aur hum bani israyeel ko samandar paar le
gaye aur wo ek aisee khoum k paas pohonchey jo apnay buutoun ki
ibaadat per arhey huye they (jeem) (to uss waqt) bolay k aye musa
hamaare liye bhi

