Page 265 - Quran-e-Kareem
P. 265
th
7 Sureh al-araf (265) 9th para
Ek aesa hee maabud bana dijiyea k inke kayyi kayyi maabud hai (toye)
(musa ne ) farmaya yaqeenan tum jaahil log ho 7:138 ye log jis deen mea
hain wo zaroor tabaah honay waala hai aur unke kull amaal ikaarat honay
waale hai 7:139 (ye bhi) farmaya k kia mea tumhaare liye khuda k siwaa
koi aur mabud talaash kardun halaanke wo aisa hai k usne tumko tamaam
aalemoon per fazeelat de hai 7:140 aur (uss waqt ko yaad karo) jab k
humne tumko firaoun waaloun (k haath)se najaat dee thi jo tumko burey
se burey azaab diya karte they (yaani) tumhaare betoun ko khatl kiya
karte they aur tumhaari betiyoun ko zinda chor diya karte they (toye) aur
ismea tumhaare parwardigaar ki taraf se (tumhaari ) barhee sakht
aazmayesh thi 7:141 (16AIN12-6) aur humne musa se tees shaboun ka
waada kiya tha aur ek ashra aur milaakar usko poora kiya pass unke
parwardigaar ki muqarrar muddat chaalis shab mea poori hui (jeem) aur
musa ne apnay bhai haarun se kaha k tum meri khoum mea khalifa bano
aur islaah karte raho aur mufsadoun (fasaad karne waaloun) ki raah ki
pairwee na karna 7:142 aur jab musa hamaare muqarrar waqt per aaye aur
unke parwardigaar ne unse baatein kiye (laa) (musa ne ) arz ki k

